Hindi/Urdu Poems
رفتن به کانال در Telegram
Hindi/Urdu Poetry Collection. Adding some stories too :D Our Groups • @HindiPoetry • @WritersClub Channels: • @ThePeepTimes • @WritersCafe • @CopywritersDesk • @WritersDirectory More: 🌐 @tgWeBot | @BigBrandTree
نمایش بیشتر5 731
مشترکین
اطلاعاتی وجود ندارد24 ساعت
-127 روز
-4730 روز
آرشیو پست ها
5 731
KISI AISE KA SAATH
Kisi aise ke saath hona...
jo apne beete kal ka bojh le kar na chale,
jo aapki hadon ki izzat kare aur darr ko paas bhi na aane de. Jo kabhi kisi cheez ka fayda na uthaye,
aur jiske paas aate hi lage ki haan, ab sukoon hai.
Kisi aise ke saath hona,
jiske saamne koi baat chhupani na pade,
jahan har ek raaz mehfooz ho. Jiska pyaar sirf dikhawe ya aakarshan tak na ho,
balki jo sach mein samjhe ki aap asal mein kaun ho.
Kisi aise ke saath hona,
jo aapke parivaar ko bilkul apna hi parivaar maan le.
Jiska thoda sa sabr chaar deewaron ko ek pyara sa ghar bana de.
Jo gusse ya behas mein cheekhne-chillane ke bajaye baat ko sambhaale,
jeetne ke liye nahi,
bas rishte ko bachane ke liye.
Kisi aise ke saath hona,
jiske saath chup baithe rehne par bhi ajeeb na lage,
jahan achha banne ka koi natak ya dikhava na karna pade.
Jiski baaton mein itni narmi ho ki aapko apni kamzori chhupani na pade,
aur jo aapko aage badhta dekh darrne ke bajaye khush ho.
Kisi aise ke saath hona,
jo sirf jawaab dene ke liye nahi,
sach mein samajhne ke liye sune.
Jo aam se dino ko bhi ek mehfooz thikaana bana de. Jahan ‘main’ peeche chhoot jaye aur ‘aap’ aage aa jaye,
aur jiske aage aakar aapki saari talaash khatam ho jaye.
#review
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
He:-
तुम कहती रहो
मैं सुनता रहुंगा
तुम्हारे हसीन सपनों को
आंखों में बुनता रहूंगा
तुम्हारे होठों पर
जंचती है ये हंसी
तुम हंसती रहो
मैं हसता रहुंगा
तुम्हारी आंखें समंदर सी गहरी है
तुम यु ही देखती रहो मुझे
मैं उम्रभर जिता रहूंगा
She:-
तुम सुनते रहो
मैं कहती रहूंगी
तुम्हारे संग संग
उम्रभर चलती रहुंगी
तुम्हारी दुनिया
एक मुक्कमल ख्वाब है
तुम दुनिया बुनते रहना
मैं दुनिया बुनती रहुंगी
तुम्हारी मुस्कान सुकून देती है
तुम यू ही मुस्कुराते रहना
मैं मुस्कुराती रहूंगी
तुम्हारी आँखों में
एक अलग ही जहाँ है,
तुम यूँ ही देखते रहना,
उम्रभर ठहरती रहूँगी।
#bhagyashree
#review
24 aug 2026
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
Kon hai voh?
Uski ankho me jese sara dariya, gehra samundar hai voh,
Prakarti se uttpann hui Khubsurati ki misaal hai voh,
Prem me prem se dhalne walo ka mukaam hai voh,
Jalte diyo ki aanch ko jo dheema kar de voh halki thandi hawa hai voh,
pedon ki chaaun, mitti ki khushboo usme chupa ek Raaz hai voh,
Chidiyao ke sath udhtii, jaha chahe waha firtii, sabhi bandisho se aazad hai voh,
Na voh yaha hai,
na hi kisi ke paas hai,
na hi kisi se door,
iss jahan me kahi gupt hai voh.....
Dekha sab apna kuch na kuch likh rahe,
toh socha kyu na me bhi thodi apni likhaai jhaadd du...✨✨
#Prateek
#review
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
#1
इस कहानी का अंत मौन था,
न कोई शोर था, न कोई जिक्र था।
न आवेग था, न द्वेष था,
न झूठा कोई अहंकार था,
बस दो दिलों के बीच का,
एक अधूरा सा प्यार था।
तुमने कहा कुछ नहीं,
मैंने सुना कुछ नहीं,
दोनों समझते रहे,
पर बोला कुछ नहीं।
न तुम रुके, न हमने रोका,
न तुमने देखा मुड़ के,
बस इंतज़ार था कि तुम लौटोगे,
पर दिल में चले जाने की ही अपेक्षा थी।
अंत में न जीत हुई, न हार हुई,
बस एक ख़ामोशी तैयार हुई,
जो कह गई सब कुछ बिना कहे,
कि ये कहानी यहीं बेकार हुई।
✍SIMA
#review
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
मौत से पहले मुझे अपनी ज़िंदगी देखनी है...
छोड़ चुके हैं जो लोग मुझे,
न जाने मेरे ख़याल उन्हें कब छोड़ पाएँगे।
शायद अब ख़्वाब ही हैं बस, जहाँ आप आएँगे,
तो अब हम भी सो जाएँगे।
पर क्या मेरी मौत से पहले,
एक दफ़ा आप आएँगे?
क्या एक दफ़ा ही सही,
हक़ीक़त में आप आएँगे?
जो गर नहीं आएँगे,
तो नहीं रखेंगे घाव हम अपनी रूह पर।
एक आख़िरी दफ़ा,
इंतज़ार के सारे बादल,
आँखों से छलकाएँगे।
हम पलकें खोलकर सो जाएँगे...
#review
#Ghost
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
Mout se pehle mujhe apni zindagi dekhni hai...
Chod chuke hai jo log mujhe,
Na-jane mere khayal unhe kab chod payenge.
Shayad ab Khwaab hi hai bss jha aap aayenge,
toh ab hum bhi soo jayenge.
Par kya meri mout se pehle ekk dafaa aap aayenge?
Kya ek dafa hi sahi hakikat mein aap aayenge?
Jo gar nhi aayenge,
toh nahi rakhenge ghav hum apni rooh par,
ek aakhiri dafa,
intezaar ke saare badal,
aakhon se chalkayenge,
hum palke khol kar so jayenge...
#review
#Ghost
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
Khamosh si lagti hu par andar ek shor rakhti hu
Duniya se chhupakar apne hazaaron khwaab rakhti hu
Kabhi chaand jaisi narm, kabhi raat si gehri
Mai khud mein hi ek adhuri si poori kahaani rakhti ho
Mujhe samajhna ho toh sirf meri baatein mat sunna
Meri khamoshiyon ko bhi padhna padega
Mai “theek hoon” kehkar jo chhupa leti hu
shayad uske peeche ek poora samandar rehta hai
Mere andar ek ajeeb si duniya basti hai
jahan aane vale kal ke sapne bhi hain
beete hue kal ke sawaal bhi
aur un dono ke beech khadi ek ladki
jo kabhi khud ko samajhti hai
kabhi khud se hi ulajh jaati hai
#vaish
#review
😅
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
5 731
Usse koi taalluq nahi kehna mujhe
magar uski ghairmaujoodgi bhi gawara nahi
na use apna kehne ki khwahish hai
na kisi aur ka hota dekhne ki himmat sahi
Na ishq ka iqraar, na mohabbat ka daawaa
phir kyun uski har khamoshi ka mujh par asar hai
Woh apni duniya mujhse baantta rahe
shayad bas itni si meri khwahish-e-dil hai
Uske labon se nikle har raaz ka mujhe ilm ho
uski har pareshaani ka mujhse hi zikr ho
woh duniya se jitna bhi be-taalluq ho jaaye
magar mujhse uska rabt kabhi kam na ho
Woh kisi aur ke qareeb aaye toh
dil mein ek ajeeb si khalish jagti hai
phir khud ko yaad dilati hoon
"tumhara us par koi haq nahi"
magar dil hai ki har dafa
is baat se baghawat karta hai
Main usse rishta nahi dena chahti
kisi naam mein baandhna nahi chahti
bas uski zindagi mein itni gehri jagah chahti hoon
ki meri kami usse mehsoos hoti rahe
Aur shayad meri sabse khaufnaak baat ye hai
main usse paana nahi chahti
main bas ye chahti hoon
ki woh mujhe kabhi bhul na sake
#vaish
#review
I don't know ye kesi feeling hai but ab yahi hai 🥲😕rishte rakhna to chahti hu but koi naam nhi Dena chahti
Ajib pareshani hai 🫥😫
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
सब लोग कृपया दो hashtag # लगाएं
1. #review
2. अपनी लिखी कविता पे अपने नाम का hashtag # लगाइये, जैसे #yourname
किसी और की कविता share करते हैं और उसका नाम नहीं जानते तो #unknown लगाइए
#review आपके पोस्ट को @HindiPoems में भी साझा करता है, जो कि समूह का चैनल है। ऐसा इसलिए किया जाता है ताकि आपकी रचना को अधिक पाठक मिल सकें और एक ऐसा स्थान बना रहे जहाँ केवल कविता ही साझा की जाए, न कि चर्चाएँ।
#yourname बहुत महत्वपूर्ण है, ताकि यह स्पष्ट हो सके कि रचना आपके द्वारा लिखी गई है। यदि आप किसी और की कविता साझा कर रहे हैं, तो उनके नाम को हैशटैग में ज़रूर लिखें या यदि लेखक का नाम ज्ञात न हो तो #unknown का उपयोग करें।
इसके अलावा #yourname से यह भी आसानी होती है कि समूह/चैनल में आपकी सभी कविताएँ एक साथ खोजी जा सकें। क्यों? ताकि कोई भी व्यक्ति, यहाँ तक कि आप स्वयं भी, उस हैशटैग पर क्लिक करके आपकी पहले साझा की गई सभी कविताएँ पढ़ सके।
#review shares your post in @HindiPoems too which is group's channel. This is done to ensure you get more readership and also a place where only poetry goes in and not any discussions.
#yourname is important so that you claim your write-up that it's written by you. If in case you are sharing other's poetry then you must use their name in hashtag or #unknown in case you don't know who has written it.
Also #yourname makes it easier to find all your poems in group/channel at once. Why? So that someone including you can click on that hashtag and read all of your previous poetry that you shared.
🔗 View | ✨𝗕𝗢𝗢𝗦𝗧✨
🔥 More on @tgWiz
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
5 731
