en
Feedback
Sudhu Syncs 🌷

Sudhu Syncs 🌷

Open in Telegram
336
Subscribers
No data24 hours
-27 days
+130 days
Posts Archive
Ye test de lo bohot jyada fayda hoga I can bet on this!!🌸

📢 UNACADEMY AIMT (All India Mock Test) 💥 Test for NEET Aspirants 📆 Date: [26 October] 🕘 Time: [2:00-5:00 P.M] 🎯 Mode: Online on Website & App 📲 ENROLLMENT FREE now: ➡️https://unacademy.onelink.me/M2BR/x3dclsec ➡️https://unacademy.onelink.me/M2BR/x3dclsec

Happy Diwali!!❤️✨
Happy Diwali!!❤️✨

photo content

photo content

The beauty of a man’s ego isn’t in dominance, but in those silent gestures — where he carries her bag, lifts her broken slipper, and walks with her through the storm… ☔❤️ Sometimes, love speaks louder in actions than in words.

नवरात्रि की हार्दिक शुभकामनाएँ || 🙏🏻✨❤️😌 May goddess Durga bless you all with immense positivity to go beyond your limits
नवरात्रि की हार्दिक शुभकामनाएँ || 🙏🏻✨❤️😌 May goddess Durga bless you all with immense positivity to go beyond your limits and achieve whatever you want! 🌸 ~ Sudhanshu (@Sudhu_Syncs)

4. Test ka mahaul ghar me kaise create karein?
Ans. Dekho jab bhi test dena ho uske ek din pehle hi apne ghar me sabko bata do ki mera kal test hai 2PM to 5PM isiliye mujhe uss beech me koi bhi mat uthana. Aisa cheez agar apni Maa ko bol paao to sabse badhiya kyuki wo aapke padhai ko leke serious hoti hai kahi na kahi to jo bhi kaam honge uss beech saara wo khud kar lengi aur aapko nhi uthayengi. Uske baad ek kamre me chale jaao bahar shor ho raha hone do kyuki NEET me bhi aisi hi condition hongi. Fir Timer lagao 2 hrs 45 mins ka aur Test likhna start karo Dhang se man se. Iss beech me no Susu break no Water break. Aur idhar udhar bhi jyada nhi dekhna hai bas saara focus apne paper pe rakhna. Aisa ho sakta hai ki tumhara paper 2hrs 45mins se pehle ho jaaye to uthna mat baithe rehna. Jab tak 2hrs 45mins khatam nhi ho jaate uthna nhi hai. Aur ekdum se 2pm pe hi mat baithna test likhne ko usse lagbhag 5/10 minute pehle hi baith jaana taaki 2pm pe tum start kar paao. Baaki yes Test ke baad Analysis kaise kare uske liye ek special post daalenge baad me abhi ke liye bas itna hi.
Much Love and Strength. ~ Sudhanshu (@Sudhu_Syncs)

3. Kya paper print karke hi dena sahi rehta hai?
Ans. Dekho aapka NEET jo hai wo Pen Paper mode hota hai isiliye aapko paper print karke dene me hi effective hoga. Aap sirf formality ke liye to test de nhi rahe ho, hai na. To achhe se paper ka print le liya karo jyada paise bhi nhi lagenge aur jis din paper likhna hai uske ek din pehle hi paper ka print le lo aur laake ghar me rakh do par yes paper ka ek bhi question solve karne baithne se pehle mat dekhna. Ab iske saath ke saath ek hi baar jaao aur khud ke liye lagbhag 20 OMR ka print le lo. Ab dekho abhi market me 180 question wali OMR to nhi aayi hai isiliye 200 wali OMR print le lo aur usme hi fill karna start karo at the end tumhe OMR bharne se matlab hai. Ab OMR bharne se kya fayda hota to ye ki aap kabhi kabhi paper me sahi tick karte ho par OMR galat bhar dete ho to multiple practices se ye bhi theek ho jaayega also aapko time bound manner me OMR bharne ki bhi aadat lag jaayegi. Isiliye Paper aur OMR dono print karke hi test likhein.

2. Kaun sa Test mujhe follow karna chahiye taaki mai khud ko nikhar saku?
Dekho ekdum genuine suggestion deta hoon par tum agar follow nhi kiye na to bohot problem hogi tumhe hi aage chalke, sabse pehle to khud se ye wada karo ki jo bhi mai bolunga wo tum follow karoge blindly to hi iska fayda hoga. Haan to chalo ab mai batata hoon ki kaise kya kaun sa test follow karna hai. Sabse pehle abhi se agar test dena start kar diya hai ya nhi kiya hai to aap Aakash FT phase 1 ya Aakash FT phase 2 ko follow karo abhi se unke channel aapko hamare New bot me mil jayenge aur wahan se aap sabse pehle schedule download karo aur fir uske hisaab se apna syllabus plan karo usme sabse pehle aapke part test honge aur uske baad aapke NBTS honge jo ki jitne part test hote unka review ho jata uss test ko deke. Ab aisa karte karte aapka syllabus khatam ho hi Raha hoga ki isi beech Aakash ki ek aur test series aati hai uska Naam hota hai Aakash AIATS iske channel bhi new bot me mil jaayenge wo November se start hota hai with same syllabus as FT 1 to dekho pehle to tumhara abhi ek Revision ho jaayega uss syllabus ka uske baad November me bhi same syllabus aayega to fir se revision ho jaayega. Aise aur bhi test aate hai jinka time to time update hum dete rahenge abhi ke liye aap pehle Aakash FT follow karo fir jab AIATS start ho jaayega to FT ke saath saath AIATS bhi follow karne lag jaana. Revision ki tension khatam ho jaayegi.

SOME TEST RELATED FAQs -
1. Kya abhi se Test dena chahiye ya pura syllabus khatam karne ke baad?
Ans. Test aapke liye ek mirror jaise hote hai jo aapki true potential dikhate hai. Agar aapko aapki kamiyaan pehle se pata hongi to aap unko sudhaar paoge jaldi aur jo jitni jaldi apni kamiyaan sudharta hai wo utni jaldi succeed karta hai. Dekho abhi se Part syllabus test dena start karo aise me kya hoga ki tumhara revision karne ka aadat thoda thoda karke abhi banta rahega aur tumhara padha hua abhi ka tumhe bhulega bhi nhi. Aur agar tum satisfactory practice nhi bhi kar rahe to test deke ek baar to atleast tumhari achhi question ki practice ho jaayegi. Also jitne log ye decide karte hai ki syllabus pura hone ke baad test denge usme se 99% log NEET se pehle ya to ek bhi test nhi dete ya max to max 5/10 test hi de paate hai jisse unko unki kamiyan pata lagti hai itna late ki unke pass sudharne ka time hi nhi bachta. Also part test dene ka ye fayda hai ki aapko syllabus pura karne me bhi push milega aur aap thoda jaldi aur timely syllabus complete kar paaoge.

💯
💯

Agar bahut saara padhne ke baad bhi aapko Physics me Confidence nhi aa raha aapke question nhi ban rahe approach nhi samajh aa raha to ye post aapke liye hai... Sabse pehli cheez iss case me jo humare dimag me aati hai wo ye ki physics bohot tough hai aur ye to hum kar hi nhi paayenge... Hum kitna bhi padh le humare question nhi banenge... Kitni koshish kar le pura din physics ko de fir bhi khud se kuchh achha nhi kar payenge... So now listen...ab chahe neeche likhi cheezon ko abhi se follow kar lijiye ya 6 mahine baad physics se giveup kar dena aur saath ke saath apne selection se bhi... First thing first.... Aapko ye man'na hoga ki kuchh din ki padhai se physics ke saare questions nhi ban'ne lag jaayenge... Iske peechhe kayi din ki mehnat lagegi... Isiliye pehle thoda to khud ko iss liye taiyaar kar lijiye ki aapko time lagega behtar ban'ne me physics me... Ye maan kar chaliye ki kuchh nhi to lagbhag 40-50 din jam ke mehnat karoge to kahi na kahi physics potential ka 60% reach kar paaoge fir agle 40-50 din me wo badh ke 80% pahuchegi aur uske 40-50 din baad 95% tak... Sabse pehle achhe se classnotes banayiye uss notes me class ke question bhi likhiye ye most important cheez hai...ab jab ek chapter pura ho jaaye to ek din time nikal ke baithiye aur wo chapter ka notes kholiye ek taraf se padhte jayiye aur saath me ek rough copy le lijiye aur ek blank page... Jitne formulae ya important concept aate jaa rahe unhe apne language me uss blank page pe likhiye taaki wo aapka short notes ban jaaye ek tarah se... Aur rough copy me kya karna hai to pehle question notes se padhiye aur solution hide kar lijiye... Ab uss question ko uss rough copy me shuru se leke last tak solve karne ki koshish kariye.... Kuchh nhi samajh aaye to wo blank page dekhiye... Aur fir try kariye... Agar lagbhag 3 baar koshish ke baad nhi samajh aa raha to fir Solution dekhiye... Thoda sa... Approach bas... Aur fir lag jayiye solve karne me... Last tak solve kariye kyuki aise aapki calculation bhi strong hogi...aur aise classnotes ke saare questions karne ke baad aap-me confidence aayega thoda... Fir module uthayiye... Jo question ban rahe bana lijiye jo nhi ban rahe mark karke agla question dekhiye... Jab saare questions solve ho jaaye fir dubara wapas aayiye marked questions solve karne ki koshish kariye aur fir last tak jayiye... Uske baad jitne nhi bane unka concept notes se dekh ke fir try karo... Nhi ban rahe to kisi se puchh lo aur unka solving approach dekho ki kaise unhone approach kiya question ko...ye mat dekho ki answer aaya ya nhi unke sochne ke tareeke ko copy karo... Aisa karte karte tab jaake kahi 3-4 mahine baad results milna start hoga!!❣️ Darna band kariye aur dekhiye aapke liye koi aur to aayega nhi solve karne at the end ro ke ya jaise bhi aapko hi solve karna hai to rone wala kaam abhi kar lijiye taaki baad me sirf khushiyan hi khushiyan ho.. Aur ye cheez aapko ladna seekha degi un sab cheezon se jo aapke will ke against hai... Baaki mast rahiye padhte rahiye aur baaki aur bhi jo dikkatein aati hai un sab pe bhi post daal denge...🌷
Much love and Strength ~ Sudhanshu (@Sudhu_Syncs)

Ab Jab aap logo ne soch liya hai ki Agla 1 saal aaplog puri shiddat se NEET ko dena chahte ho to....🐥 आपको दिल से इमानदार होके खुद की जिंदगी को बेहतर बनाने के लिए मेहनत करना ही होगा...✨ Dekho iss journey me bohot si rukawatein aayengi par rukna nhi hai, bohot log ke taane aapko todne ki koshish karenge par aap khud ke andar ki strength ko kabhi compromise mat karna kisi ke kahe baaton se...🌷 ऐसा कभी नहीं हो सकता कि आप हद मेहनत करो और आपका रिजल्ट आपको निराश कर दे... ❣️ Aap bas apne side se best dene ko dekho aur dekhna sab achha hoga bohot kuchh seekhoge apne baare me society ke baare me aur iss human body ke baare me...💫
आप सबके लिए बहुत सारा प्यार 🫀 ~ Sudhanshu (@Sudhu_Syncs)

श्री कृष्ण जन्माष्टमी की हार्दिक शुभकामनाएँ!! 🌸✨❣️🙇🏻‍♂️🙏🏻💕🦚🐥🌷
+6
श्री कृष्ण जन्माष्टमी की हार्दिक शुभकामनाएँ!! 🌸✨❣️🙇🏻‍♂️🙏🏻💕🦚🐥🌷

Join @EDU_HELIUM for lectures, Notes, Test, Dpps and study Material related to NEET. We at H3LIUM provide lectures of many renowned institute and teachers in a convenient and student friendly way. Join Now - https://t.me/EDU_HELIUM https://t.me/EDU_HELIUM https://t.me/EDU_HELIUM Regards, ~ Owner ❣️

Happy Rakshabandhan to everyone!!❣️💌 Bhagwan kare aapko apni zindagi me wo sabhi khushi mile jo aap chahte hai!!🌹 Aap sabhi
Happy Rakshabandhan to everyone!!❣️💌 Bhagwan kare aapko apni zindagi me wo sabhi khushi mile jo aap chahte hai!!🌹 Aap sabhi ke lambi umar aur achhe health ki kaamna karte huye aap sabhi ko bohot pyaar!!❣️

नमस्ते भगवान रुद्र भास्करामित तेजसे । नमो भवाय देवाय रसायाम्बुमयात्मने ॥ _⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠__⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_ हे भगवान ! हे रुद्र ! आपका तेज अनगिनत सूर्योंके तेज समान है । रसरूप, जलमय विग्रहवाले हे भवदेव ! आपको नमस्कार है । _⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠__⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_ Obeisance to you, O Lord, having the splendor of innumerable suns. Obeisance to you, the Bhava, the lord in the form of flavor and fluid. _⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠__⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_ 🔱✨🌸🙏🏻🙇🏻‍♂️🌷🦋🔥🌺 _⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠__⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_⁠_

तुम स्वयं के लिए इतने पर्याप्त हो की अपने समस्त घाव स्वयं भर सकते हो !

"Brown never mattered to me until it was in you" "And now that I've nothing left to say, Atleast I've this colour on me of you to stay!!" ❤️‍🩹✨🌸