THE REVOLUTION By Dushyant Singh
Open in Telegram
1 732
Subscribers
No data24 hours
No data7 days
No data30 days
Posts Archive
Video no. 3 aur video no. 7 ki pdf abhi mere database pata nahi kese Miss ho gayi, but don't worry in dono PDFs ko last me provide kar dunga.🙏
Edit, Sign and Share PDF files on the go. Download Acrobat Reader for mobile: https://adobeacrobat.app.link/Mhhs4GmNsxb
Edit, Sign and Share PDF files on the go. Download Acrobat Reader for mobile: https://adobeacrobat.app.link/Mhhs4GmNsxb
Edit, Sign and Share PDF files on the go. Download Acrobat Reader for mobile: https://adobeacrobat.app.link/Mhhs4GmNsxb
ये लो ☝️ हिंदी 🙂🙂
इसमें ro aro के अब तक के सभी प्रश्न (विकल्पों सहित) एवं uppcs csat में पूछे गए प्रश्न भी सम्मिलित हैं।
Kya sahi hain aur kya galat, iska aaklan apko svayam karna hai, baaki youtube par apko pata hai sab log yahi kahte milenge ki, "mere alaava apka selection koi nahi Kara sakta"😉😄😄
YouTube ka koi bhi gyani vyakti apka selection nahi Kara sakta,
Self study is the best way to crack any exam. Apko sirf idhar udhar se help Leni hai, Jahan se bhi gyaan mile le lo, baaki kaam apne aap hi karna hai, reality yahi hai.
Ro aro hindi ke liye, total 6 topic hain, har topic par aapko 2 videos provide karaunga, jisme ek video me saare previous year questions cover honge aur dusri me Jo chije bachengi unko cover karaya jayega, pdf bhi apko provide Kara di jayegi 👍
Baaki apni self study jarur karte rahna hai, kisi bhi vyakti, teacher ya youtube channel par blindly focused hoke taiyaari nahi karni hai, usme chahe me kyu na hu.
Subah hindi ki pahli class aa rahi hai jisme , ro aro aur uppcs csat me puchhe Gaye sabhi previous year question shaamil honge.
Ye bada ajib lagta hai, telegram par 1300 se jyada log hain, but 20 log bhi subscribe nahi karte.
Apko pata hai Jo Mera regular channel hai us par 600+ videos upload kar chuka hu, aur ek single video me bhi kabhi channel ko subscribe karne ko nahi bola , you can check this, but ye jaruri hai tabhi bol raha hu, baki apki marji,
Aap subscribe karo ya na Karo , content jo mujhe provide karna hai vo ese hi lagaatar milta rahega, kyunki ye Mera kaam hai 👍
Backup jaruri hai, aajkal channels delete ho jaate Hain pata bhi nahi chalta, ye jaruri hai future ke liye, mujhe ummid hai aap sabhi logon ka sahyog jarur milega 🙏🙏
This ☝️ is my backup channel, I request you to subscribe this.
Me aapke liye itna kaam kar sakta hu , to aap mere liye itna to kar hi sakte ho.
