cookie

Мы используем файлы cookie для улучшения сервиса. Нажав кнопку «Принять все», вы соглашаетесь с использованием cookies.

avatar

Islamic Search

In Sha Allah through this channel you will be getting Authentic Islamic information in Urdu language. For English join:- @Islamic_Info_4u Admin:- @Islamic_Info_Bot

Больше
Рекламные посты
846
Подписчики
+224 часа
+27 дней
+430 дней

Загрузка данных...

Прирост подписчиков

Загрузка данных...

#Zikr AASMANO KE DARWAZE KHOL DIYE GAYE ☁️ Ibn 'Umar (رضی الله عنهم) kehte hain ke: Jab hum Rasool Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe the to logo me se ek aadmi ne kaha: « اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً » (Allahu Akbaru Kabiran Wal-Hamdu lillahi Kathiran wa Subhan-Allahi bukratan wa asilan) "Allah sab se bada hai, Bohot bada, aur tamam tareef Allah ke liye hain, bohot zyada, aur tasbeeh Allah hi ke liye hai, subha aur sham." Rasool Allah (ﷺ) ne pucha: "Fulan fulan kalme kis ne kahe?" Ek aadmi ne kaha: "Maine ya Rasool Allah!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Mujhe un par bohot hairat hui, kyunke un ke liye aasman ke darwazey khol diye gaye the." Ibn 'Umar (رضی الله عنهم) ne kaha: "Jab se mai ne Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai, tab se maine in kalimaat ko kehna nahi choda." 📚: Sahih Muslim 601 (1358) Sahih Muslim ki tafseer me Imam Nawawi (رحمة الله) likhte hain ke ye alfaaz Takbeer Tehrima (namaz shuru karne ki pehli takbeer) ke baad aur Quran ki tilawat shuru karne se pehle kahe jaate hain.
Показать все...
2
Tashriq Ke Dino Me ROZA RAKHNE KI IJAZAT NAHI 🚫 • Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain. Aisha (رضي الله عنها) aur Ibn Umar (رضي الله عنهم), dono ne bayan kia ke: "Kisi ko ayam tashriq me roza rakhne ki ijazat nahi sirf us ke alawa jis ke liye qurbani karna mumkin nahi." 📚: Sahih Bukhari 1998 Ayam tashriq ke dino me roza rakhna haram hai, chahe wo nafil roza ho ya farz roza, siwaye un hajiyo ke jinhein qurbani ke liye janwar na mile. Ye khane, peene aur Allah ka zikr karne ke din hai.
Показать все...
2
TASHRIQ KE DIN ✨ • Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain. Allah Ta'ala ne Qur'an me farmaya, ayat 2:203: "Aur Allah ka zikr in ginti ke chand dino me karo." Abdullah bin Umar (رضي الله عنهم) aur baaz ulema ka qawl yahi ke ke is se muraad Tashriq ke din hain. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Ayam tashriq khane peene aur Allah Ta'ala ke zikr ke din hain." 📚: Sahih Muslim 1141 (2677, 2678) Rasool Allah (ﷺ) ne ayam tashriq (11, 12 aur 13 Dhul Hijjah) me khutba diya aur (us khutbe ke dauran me) farmaya: "Jannat me sirf musalman hi dakhil hoga, aur ye (ayam tashriq) khane aur peene ke din hain." 📚: Sunan Ibn Majah 1720 | Sahih
Показать все...
2
00:35
Видео недоступноПоказать в Telegram
Qurbani Zibah Karte Waqt Kya Padhein..? || Dr. Mehboob Abu Asim Hafizahullah
Показать все...
5.20 MB
Фото недоступноПоказать в Telegram
السَّـــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَّـــــــَرَكَاتُـــــــهُ تقبل الله منا ومنكم 🤍 Eid Mubarak 🤍
Показать все...
1
🌸 Qurbani ki 6 Shartain 1) Qurbani Ka janwar Baheematul an'aam (paaltoo janwar) mein se ho (Oont,Gaaye,bakri,bhaidh Dumba) (Surah haj:34) 2) Qurbani ka janwar us umr ka ho jo shariyat ne batai hai. [Sahi Muslim:1963 *Do daanta hona* (aisa janwar jiske agle do daant gir chuke houn) Oont 5 saal ka Gaaye 2 saal ki Bakri 1 saal ki Bhaid agar 6 mahina ka hai to bhi usmein Qurbani jaiz hai 3) Qurbani ka janwar 4 aib se paak ho 1_Aankh mein wazeh aib 2_Wazeh Tour par beemar 3_wazeh taur par langda 4_Ek dam kamzor ke haddiyoun par gosht na ho. [Irwaul_Galeel:1148 Sahi) 4) Wo Qurbani ka janwar Qurbani karne wale khud ka ho ya phir use shariyat ya malik ki taraf se ijazat mili ho. 5) Janwar ka kisi doosre ke sath talluq na ho, Rehan rakkhe hue janwar ki qurbani nahi hogi. 6) Qurbani ke muqarrar kiye hue waqt mein hi zibah kiya jaye. 10 Zul Hijjah ko Eid ki namaz ke baad se lekar 13 Zul Hijjah ke sooraj Goroob hone tak Qurbani karna jaiz hai.
Показать все...
ARAFAT KA DIN ✨ Umar bin Khattab (رضي الله عنه) se riwayat hai, ek yahoodi ne un se kaha: "Aey Ameer ul Momineen! Aap ki kitaab (Qur'an) me ek ayat esi hai jise aap (musalman) padhte rehte hain, agar wo ayat hum yahoodiyo par nazil hoti to hum us (ke nazawil ke) din ko yaum eid (eid ka din) bana lete." Umar (رضي الله عنه) ne pucha: "Wo konsi ayat hai?" Yahoodi bola: « الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمْ الْإِسْلَامَ دِينًا » "Aaj Maine tumhare liye tumhara deen kamil kar diya aur tum par Apni nemat puri kar di aur Deen Islam ko tumhare liye pasand kar liya." (5:3) Umar (رضي الله عنه) ne kaha: "Hum us din aur us muqaam ko jaante hain jis me ye ayat Nabi (ﷺ) par nazil hui. Ye ayat Jumah ke din utri jab Aap (ﷺ) Arafat me khade the (yaani hajj ke din)." 📚: Sahih Bukhari 45
Показать все...
3👍 1
#AcchiAdat Baqaidagi se acche kaam/amaal karne ki adat banayen kyunki aap ko un ka us waqt bhi ajar milega jab aap kisi munasib wajah ki wajah se un par amal nahi kar sakenge. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab (Allah ka koi) banda beemar hota hai ya safar karta hai to us ke liye un tamam ibadat ka sawaab likha jaata hai jinhe ghar me ya sehat ke waqt wo kiya karta tha." 📚: Sahih Bukhari 2996
Показать все...
7
00:57
Видео недоступноПоказать в Telegram
2.83 MB
Фото недоступноПоказать в Telegram
Выберите другой тариф

Ваш текущий тарифный план позволяет посмотреть аналитику только 5 каналов. Чтобы получить больше, выберите другой план.