ru
Feedback

Не попадитесь на канал ботавода! Telemetrio находит и помечает такие каналы 👉 Хотите видеть метку — оформите подписку

AIMIM Official

AIMIM Official

Открыть в Telegram
3 501
Подписчики
-324 часа
-237 дней
-7030 дней
Архив постов
Halqa-e-Parliament Hyderabad ke Karwan aur Bahadurpura ke mustahiq afraad ko 2BHK Double Bedroom Flats allot kiye gaye, taaki zarooratmand parivaaron ko apna ghar mil sake. AIMIM Karwan MLA Janab Kausar Mohiuddin Sahab aur Bahadurpura MLA Janab Mohammed Mubeen Sahab ne Transport & BC Welfare Minister Janab Ponnam Prabhakar Sahab aur Hyderabad District Collector Dr. Priyanka Ala IAS ke saath flats allotment program mein shirkat ki. #AIMIM #kausarmohinuddin #mohdmubeen #2BHK #hyderabad

photo content

AIMIM ki siyasat ka maqsad sirf Election jeetna nahi, balki saal ke 12 mahine awaam ki khidmat karna hai | Barrister Asaduddin Owaisi #AIMIM #AsaduddinOwaisi #awaamkikhidmat #darussalam #hyderabad

इंशाअल्लाह! AIMIM अध्यक्ष बैरिस्टर असदुद्दीन ओवैसी साहब कल कैराना, उत्तर प्रदेश की सरज़मीं पर आयोजित विशाल जनसभा को ख़िताब करेंगे। कैराना, शामली की अवाम से दिली गुज़ारिश है कि इस विशाल जनसभा में बढ़-चढ़कर हिस्सा लें और इसे कामयाब बनाएं। आइए अपने हक़ और इंसाफ़ की आवाज़ को मज़बूत बनाएं और इस जनसभा को कामयाब करें। 📅 25 अक्टूबर 2026 (रविवार) 🕔 शाम 5 बजे से रात 10 बजे तक 📍 तितरवाड़ा चुंगी, झाड़खेड़ी रोड, कैराना विधानसभा, जनपद शामली (उत्तर प्रदेश) #AIMIM #AsaduddinOwaisi #Kairana #UttarPradesh #publicmeeting #owaisiinuttarpradesh

photo content

AIMIM ki siyasat ka maqsad sirf Election ladna nahi, balki awaam ki khidmat karna, unke masail ko uthana aur unki awaaz bankar unke haq ke liye mazbooti se ladna hai. Hamesha ki tarah aaj bhi Sadr-e-Majlis Barrister Asaduddin Owaisi Sahab, AIMIM Headquarters Darussalam, Hyderabad mein awaam ki khidmat mein haazir hue aur unke masaail ko suna. InshaAllah jald hi tamaam masaail ko hal karne ki poori koshish ki jaayegi. #aimim #asaduddinowaisi #awaamkikhidmat #darussalam #hyderabad

photo content
+1

photo content
+9

मुंबई एयरपोर्ट के पास स्थित मस्जिद को 48 घंटे के अंदर हथौड़े से तोड़ने की धमकी दिए जाने के मामले को लेकर AIMIM के राष्ट्रीय प्रवक्ता जनाब वारिस पठान साहब ने मुंबई के Commissioner of Police Deven Bharti साहब से मुलाकात की और BJP नेता किरीट सोमैया के खिलाफ सख्त कानूनी कार्रवाई करने की मांग की। कमिश्नर साहब ने इस मामले पर संज्ञान लेते हुए उचित कार्रवाई का आश्वासन दिया है। हमारा देश संविधान और कानून से चलेगा, किसी की धमकी या दबंगई से नहीं। मस्जिदों व दूसरी इबादतगाहों की हिफाज़त के लिए AIMIM पार्टी हमेशा आवाज़ बुलंद करती रहेगी।

photo content

AIMIM ke rehnuma sirf Election ke waqt nahi, balki saal ke 12 mahine awaam ki khidmat karte hain | Barrister Asaduddin Owaisi #aimim #asaduddinowaisi #awaamkikhidmat #darussalam #hyderabad

Kathmandu, Nepal mein India ke liye Powerlifting mein Gold Medal jeetne wale Moula Ali, Malkajgiri ke rehne wale Md. Nazeer Ahmed ko Barrister Asaduddin Owaisi ne mubarakbaad pesh ki aur unki is shandar kamyabi par khushi ka izhaar karte hue mustaqbil ke liye nek khwahishat pesh ki. #AIMIM #AsaduddinOwaisi #powerlifting #goldmedal #Darussalam

Bharat Sarkaar se meri maang hai ki Makkah aur Madina mein phanse taqreeban 4,000 Indian Umrah pilgrims ko jald se jald wapas laane ke liye zaroori qadam uthaye. Saath hi hum DGCA se maang karte hain ki wo fauran IndiGo, Akasa Air aur Air India ko bade aircraft bhejne ki ijazat de, taaki in tamaam Umrah pilgrims ko jald se jald Bharat wapas laaya ja sake: Barrister Asaduddin Owaisi #AIMIM #AsaduddinOwaisi #DGCA #UmrahPilgrims #Owaisi #hyderabad

Shamshabad mein ek site par electrician ka kaam karne wale 2 afraad par hamle ki jaankaari milte hi AIMIM MLC Janab Mirza Riyaz Ul Hassan Effendi Sahab fauran Osmania General Hospital pahunche aur dono zakhmiyo'n ki sehat aur ilaaj ke baare mein maloomat haasil ki. Unhone hospital ke In-charge RMO se mulaqat karte hue dono zakhmiyo'n ko behtareen medical treatment aur munasib dekhbhaal faraham karne ki appeal ki. Iske alawa, unhone RGIA Police Inspector se bhi phone par baat ki aur waaqye mein shaamil mulzimo'n ke khilaf fauran aur sakht qanooni kaarwai karne ki maang ki. #AIMIM #mirzariyazulhassaneffendi #OsmaniaGeneralHospital #hyderabad