📚 رَبِّ زِدنِي عِلماً 📚
Открыть в Telegram
روزانہ قرآنی آیات، حدیث نبویﷺ اور اِسلامی معلُومات کا مُستَند اُردو چینل۔ For daily Quranic Ayat, Hadith e Nabawiﷺ & Islamic Information in Urdu Language. @itsfayez
Больше1 080
Подписчики
Нет данных24 часа
-37 дней
-2730 день
Архив постов
▪︎25-01-2023▪︎
Tum apne parwardigaar (ki khushnoodi) ke liye namaaz padho aur qurbaani karo.
[Sura-eKausar : 2]
join us @knowledge
▪︎24-01-2023▪︎
Rasoolullahﷺ ne 3 martaba qasam kha kar farmaaya : wo aadmi (mukammal) imaan waala nahi ho sakta, jis ka padoosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho.
[Bukhari : 6016, Abu Shuraih, mafhoom]
join us @knowledge
▪︎23-01-2023▪︎
Aye imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaayein, ho sakta hai ke wo (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un (mazaaq udaane waalon) se behtar hon.
[Sura-e-Hujurat : 11]
join us @knowledge
▪︎22-01-2023▪︎
Aye logo! Zameen mein jo halaal paakeeza cheezein hain wo khaao aur shaitaan ke naqshe qadam par na chalo, yaqeen jaano ke wo tumhaare liye ek khula dushman hai.
[Sura-e-Baqarah : 168]
join us @knowledge
▪︎21-01-2023▪︎
Yaqeenan sadqa o khairaat Allah Ta'ala ke ghusse ko thanda karta hai aur buri maut se bachaata hai.
[Tirmizi : 664, Anas bin Maalik]
join us @knowledge
