cookie

ما از کوکی‌ها برای بهبود تجربه مرور شما استفاده می‌کنیم. با کلیک کردن بر روی «پذیرش همه»، شما با استفاده از کوکی‌ها موافقت می‌کنید.

avatar

Islamic Search

In Sha Allah through this channel you will be getting Authentic Islamic information in Urdu language. For English join:- @Islamic_Info_4u Admin:- @Islamic_Info_Bot

نمایش بیشتر
الهند187 344زبان مشخص نشده استدین و مذهبی77 409
پست‌های تبلیغاتی
842
مشترکین
+224 ساعت
+27 روز
-330 روز

در حال بارگیری داده...

معدل نمو المشتركين

در حال بارگیری داده...

UN LOGO KE LIYE Yaad Dihani Jo Kehte Hain: "Mere amaal se mujhe judge mat karo kyunke tum nahi jaante ke mere dil me kya hai." ❗️ Umar bin Al-Khattab (رضى الله عنه) bayan karte the ke: "Rasool Allah (ﷺ) ke zamane me (baaz aukaat) logo ko wahi ke zariye muwakhza (dusro ke bare me faisla karna) ho jaata tha lekin ab wahi ka silsila khatam ho gaya hai. Ab hum sirf unhi cheezon me muwakhza karenge jo tumhare amal se hamare saamne zahir honge. Isliye jo koi zahir me hamare saamne khayr karega (acche kaam karega), hum us par bharosa karenge aur apne kareeb rakhenge. Us ke batin (chupe hue amaal) se hamein koi sarokar na hoga, us ka hisaab to Allah Ta'ala karenge lekin jo koi hamare samne zahir me burayi karega to hum bhi us par bharosa nahi karenge aur naa hum us ka yakeen karenge chahe wo yahi kehta rahe ke (dawa kare ke) us ka batin accha hai/us ke irade acche the." 📚: Sahih Bukhari 2641
نمایش همه...
00:25
Video unavailableShow in Telegram
Thoda soncho iss bare mein | Javeed Usman Rabbani #Short Join:- @Islamic_Search @islamic_Info_4u
نمایش همه...
Islamic_Status_Javeed_Usman_Rabbani_4V_RPq5fVXM_134.mp41.16 MB
Photo unavailableShow in Telegram
السَّـــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَّـــــــَرَكَاتُـــــــهُ انا لله وانا اليه راجعون Shaykh Javeed Usman Rabbani RahimahUllaah jinhein Ulema mein shumaar Kiya jaata tha aur aap Dawat e Deen ke liye apne zindagi Qurbaan kar chuke the aur aaj hi aap inteqaal farmaye, bade Afsoos ke saath ye baat ko tasleem karna pardh Raha Hain. Allāh Azza Wa Jall se Du'aa Hain ke Allāh aapki maghfirat farmaye, Jannat Ul Firdaus mein 'ala maqaam aata kare, aapke nekiyon ke meezaan ko bhari rakhein aur aapke Ghar waale aur chahne waalon ko Sabr karne Taufeeq aata farmaye آمــــــــــــــــــين
نمایش همه...
First video of this channel💔
نمایش همه...
😢 4
Photo unavailableShow in Telegram
Free Course! 10 Azeem Sahaba Ki Zindagi Speaker Shaikh Abdul Azeem Madani Starting From 07 July 2024 Sunday Timing 9:00 pm to 9:45 pm Daily Classes Live on YouTube Channel islam information Certificates and Prizes will be given In Shaa' Allāh Register Now What's app +91 7207584013
نمایش همه...
👍 1
#AcchiAdat AFZAL KALIMAAT ✨ Rifa'a bin Rafi' Az-Zuraqi (رضى الله عنه) se riwayat hai: "Hum ek din Rasool Allah (ﷺ) ke peeche namaz padh rahe the. Jab Aap ne rukuh se sar utha kar "Sami Allahu liman hamida" kaha to Ek shaks ne peeche se kaha: « رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ » (Rabbana walakal hamd, hamdan kathiran taiyiban mubarakan fihi | Aey hamare Rabb! tamam tareefein aur shukr Aap ke liye hain, bohot saari pakeeza aur ba barkat tareefein.)" Jab Aap (ﷺ) namaz se farigh huye to farmaya: "Ye kalimaat kis ne kahe the?" Us shaks ne jawab diya: "Mai ne." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Mai ne tees se zyada farishto ko dekha ke wo in kalimaat ko likhne me ek dusre par sabqat le jaana (fatah paana) chahte the." 📚: Sahih Bukhari 799
نمایش همه...
👍 3
#Duaa DUAA Al-ISTIFTAAH (Namaz Shuru Karne Ki Duaa) ✨ Abu Hurairah (رضى الله عنه) ne bayan kiya ke: Rasool Allah (ﷺ) takbeer tehreema aur Qira't ke darmiyaan thodi der chup rehte the. Maine arz kiya: "Ya Rasool Allah! Aap par mere maa baap qurban ho. Aap is takbeer aur qira't ke darmiyaan ki khamoshi ke beech me kya padhte hain?" Aap (ﷺ) ne farmaya ke: "Mai padhta hoon: « اللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَاىَ كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ، اللَّهُمَّ نَقِّنِي مِنَ الْخَطَايَا كَمَا يُنَقَّى الثَّوْبُ الأَبْيَضُ مِنَ الدَّنَسِ، اللَّهُمَّ اغْسِلْ خَطَايَاىَ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ » (Allahumma ba'id baini wa baina khatayaya kama ba'adta baina-l-mashriqi wa-l-maghribi. Allahumma naqqini minal khataya kama yunaqqa-th thawbu-l-abyadu mina-d-danasi. Allahumma-aghsil khatayaya bil-ma'i wath-thalji wal-baradi) Aey Allah! Meri aur meri khataon ke darmiyaan ese doori bana dein jesi mashirq wa maghrib ke darmiyaan doori hai. Aey Allah! Mujhe khataon se is tarah (paak) saaf kar dein jis tarah safed kapda mail se (paak) saaf hota hai. Aey Allah! Meri khataon ko paani, barf aur olon ke saath dho dalein (maaf kardein)." 📚: Sahih Bukhari 744
نمایش همه...
👍 1
01:01
Video unavailableShow in Telegram
Akalmand Logon Ki Pahchan Yah Hai || #shorts #ytshorts #talksofallah #jikir #pahchan #allah
نمایش همه...
Akalmand_Logon_Ki_Pahchan_Yah_Hai_shorts_ytshorts_talks_Det_tN6UCvg.mp43.08 MB
Photo unavailableShow in Telegram
#Astaghfar #Duaa « اللَّهُمَّ لَيِّنْ قَلْبِي بِالتَّوْبَةِ، وَلَا تَجْعَلْ قَلْبِي قَاسِيًا كَالْحَجَرِ » (Allahumma layyin qalbi bil-tawbati wala taj’al qalbi qaasiyan kalhajari) Aey Allah, tawbah se mere dil ko naram kar dein aur mere dil ko patthar ki tarah sakht naa karen.
نمایش همه...
👍 2
#Zikr AASMANO KE DARWAZE KHOL DIYE GAYE ☁️ Ibn 'Umar (رضی الله عنهم) kehte hain ke: Jab hum Rasool Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe the to logo me se ek aadmi ne kaha: « اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً » (Allahu Akbaru Kabiran Wal-Hamdu lillahi Kathiran wa Subhan-Allahi bukratan wa asilan) "Allah sab se bada hai, Bohot bada, aur tamam tareef Allah ke liye hain, bohot zyada, aur tasbeeh Allah hi ke liye hai, subha aur sham." Rasool Allah (ﷺ) ne pucha: "Fulan fulan kalme kis ne kahe?" Ek aadmi ne kaha: "Maine ya Rasool Allah!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Mujhe un par bohot hairat hui, kyunke un ke liye aasman ke darwazey khol diye gaye the." Ibn 'Umar (رضی الله عنهم) ne kaha: "Jab se mai ne Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai, tab se maine in kalimaat ko kehna nahi choda." 📚: Sahih Muslim 601 (1358) Sahih Muslim ki tafseer me Imam Nawawi (رحمة الله) likhte hain ke ye alfaaz Takbeer Tehrima (namaz shuru karne ki pehli takbeer) ke baad aur Quran ki tilawat shuru karne se pehle kahe jaate hain.
نمایش همه...
2
یک طرح متفاوت انتخاب کنید

طرح فعلی شما تنها برای 5 کانال تجزیه و تحلیل را مجاز می کند. برای بیشتر، لطفا یک طرح دیگر انتخاب کنید.