Kal Diwali hai…
Gharon mein safai ho rahi hogi, lights lag rahi hongi, mithaiyan aa rahi hongi… Har taraf ek alag hi khushi ka mahaul hoga.
Lekin mujhe pata hai, aap mein se kuch log aise bhi honge jinke andar is waqt ek ajeeb si khamoshi hai.
UPSC Mains ka result bhi aa gaya hai…
Kisi ka naam list mein aa gaya, kisi ka nahi aaya. Koi agle saal ke attempt ki taiyari kar raha hai, koi dobara shuru karne ki himmat juta raha hai.
Aur kuch log aise bhi hain jo bas chupchaap padh rahe hain…
Na kisi se kuch keh pa rahe hain, na kisi ko samjha pa rahe hain ki andar kya chal raha hai.
Ek ajeeb si jaddojahad hai na?
Kabhi lagta hai sab theek ho jayega, kabhi lagta hai pata nahi hoga bhi ya nahi.
Kabhi kitaab kholkar ghanton padhte hain, aur kabhi usi kitaab ke saamne baithe-baithe apni poori zindagi ke baare mein sochne lagte hain.
Umar badh rahi hai, zimmedariyan badh rahi hain, dost aage nikal rahe hain, ghar walon ki ummeedein hain…
Aur in sabke beech ek sawaal baar-baar aata hai…
“Yaar, mera kab hoga?”
Main aapse ek baat kehna chahta hoon…
Main ye sab sirf isliye nahi keh raha kyunki main aapko motivate karna chahta hoon.
Main ye isliye keh raha hoon kyunki maine ye sab dekha hai, mehsoos kiya hai.
Aur sach kahun, toh aaj bhi zindagi ki kai ladaiyan main khud lad raha hoon.
Aaj bhi kai baar ghabrahat hoti hai, bechaini hoti hai, khud par doubt hota hai.
Aaj bhi kai cheezein waisi nahi hain jaisi sochi thi.
Isliye main aapko ye nahi kahunga ki sab aasaan ho jayega, ya bas mehnat karte rahiye aur sab mil jayega.
Kyunki zindagi itni seedhi nahi hoti.
Lekin ek baat zaroor kahunga…
Itni pareshaniyon ke baad bhi agar aap subah uthkar apni kitaab khol rahe hain, agar itne doubts ke baad bhi aap apne sapne ko ek aur mauka de rahe hain…
Toh ye koi chhoti baat nahi hai.
Aap thake hue ho sakte hain, pareshaan ho sakte hain, kabhi ro bhi sakte hain.
Lekin apni aaj ki pareshani ko apne poore kal ka faisla mat banne dijiyega.
Aur ek baat…
Is Diwali agar aapka mann khush nahi hai, toh zabardasti khush hone ki zaroorat nahi.
Ghar walon ke saath baithiyega, thoda waqt bitaiyega, mithai khaiyega, muskuraane ki koshish kijiyega.
UPSC ki taiyari kar rahe hain, iska matlab ye nahi ki zindagi jeena hi chhod dein.
Result aaya hai, kuch log select hue hain. Unki khushi mein khush hoiyega.
Aur agar aapka nahi hua, toh khud se nafrat mat kijiyega.
Ek examination ka result aapki poori zindagi ka result nahi hai.
Main nahi jaanta ki hum sabki zindagi mein aage kya likha hai.
Main ye bhi nahi jaanta ki hum jin cheezon ke liye itni mehnat kar rahe hain, woh sab humein milengi ya nahi.
Lekin itna zaroor jaanta hoon…
Ki agar apni zindagi mein kuch badalna hai, toh uske liye khada bhi humein hi hona padega.
Girte hain toh uthna bhi humein hi padega.
Darr lagta hai toh us darr ke saath aage badhna bhi humein hi padega.
Kyunki jo hoga, woh humse hi hoga.
Aur haan…
Aap akele nahi hain.
Main bhi isi safar mein hoon. Shayad manzilein alag hain, pareshaniyan alag hain, lekin andar ki ladaiyan bahut milti-julti hain.
Toh is Diwali bas ek vaada kariyega khud se…
Ki hum apni zindagi ko sirf ek result, ek failure, ya ek bure waqt tak simit nahi hone denge.
Mehnat karenge, galtiyan sudharenge, zaroorat padi toh raaste bhi badlenge…
Lekin khud ka saath nahi chhodenge.
Aur kabhi bahut zyada mann bhaari ho, toh yaad rakhiyega…
Aapko har din mazboot dikhna zaroori nahi hai. Bas khud se haar maan lena zaroori nahi hai.
Apna khayal rakhiyega.
Diwali ki bahut saari shubhkamnayein. ❤️
Aapka Bada Bha,
Prashant