📚 رَبِّ زِدنِي عِلماً 📚
رفتن به کانال در Telegram
روزانہ قرآنی آیات، حدیث نبویﷺ اور اِسلامی معلُومات کا مُستَند اُردو چینل۔ For daily Quranic Ayat, Hadith e Nabawiﷺ & Islamic Information in Urdu Language. @itsfayez
نمایش بیشتر1 080
مشترکین
اطلاعاتی وجود ندارد24 ساعت
-67 روز
-3030 روز
آرشیو پست ها
▪︎14-02-2023▪︎
Apne parwardigaar ke naam ki tasbeeh karo, jis ki shaan sab se oonchi hai, jis ne sab kuch paida kiya aur theek theek banaaya.
[Sura-e-A’ala: 1-2]
join us @knowledge
▪︎13-02-2023▪︎
Sab se ziyaada jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain.
[Ibne Maaja: 4246]
join us @knowledge
▪︎12-02-2023▪︎
Moamin aurton se keh do ke wo apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharamgaahon ki hifaazat karein aur apni sajaawat ko kisi par zaahir na karein.
[Sura-e-Noor: 31]
join us @knowledge
▪︎11-02-2023▪︎
Faisla karne waala 2 (aadmiyon ya 2 jamaaton) ke darmiyaan ghusse ki haalat mein faisla na kare.
[Abu Daaood: 3589]
join us @knowledge
▪︎10-02-2023▪︎
Aur un (yateemon) ka maal apne maal ke saath mila kar mat khaao, beshak yeh bada gunaah hai.
[Sura-e-Nisa: 2]
join us @knowledge
