📚 رَبِّ زِدنِي عِلماً 📚
Ir al canal en Telegram
روزانہ قرآنی آیات، حدیث نبویﷺ اور اِسلامی معلُومات کا مُستَند اُردو چینل۔ For daily Quranic Ayat, Hadith e Nabawiﷺ & Islamic Information in Urdu Language. @itsfayez
Mostrar más1 077
Suscriptores
Sin datos24 horas
-47 días
-2930 días
Archivo de publicaciones
▪︎24-09-2022▪︎
Aye imaan waalo! Tum shaitaan ke peechhe na chalo aur agar koi shakhs shaitaan ke peechhe chale, to shaitaan to hamesha be-hayaai aur buri baaton ka hukm dega.
[Sura-e-Noor : 21]
join us @knowledge
▪︎23-09-2022▪︎
Agar koi tumhaare saath bhalaai ka muaamla kare, to tum us ko us ka badla do.
[Nasai: 2567]
join us @knowledge
▪︎22-09-2022▪︎
Deen ke muaamle mein koi zabardasti (jabar) nahi hai.
[Sura-e-Baqarah: 256]
join us @knowledge
▪︎21-09-2022▪︎
Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi zinda jin, insaan ya parinde ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta’ala us ko ajr ata farmaayega.
[Sahih ibne khuzaima: 1292]
join us @knowledge
▪︎20-09-2022▪︎
Yaqeen rakho ke qayaamat ki ghari zaroor aane waali hai, jis mein kisi shak ki gunjaaish nahi hai; lekin aksar log imaan nahi laate.
[Sura-e-Momin : 59]
join us @knowledge
▪︎19-09-2022▪︎
Do gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par buhtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain.
[Musnade Ahmed: 17483]
join us @knowledge
