Sharing Ilm - Roman Urdu
前往频道在 Telegram
837
订阅者
无数据24 小时
+27 天
+2330 天
帖子存档
#Duaa
APNI DUAA KA JAWAB HASIL KARNE KA BEHTAREEN TAREEKA HAI 🌤️
1. Wuzu Kar Ke Soye
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo shaks Allah ka zikr karta huwa bawazu (wuzu ki halat me) soye phir raat me kisi waqt us ki aankh khule aur Allah se dunia aur aakhirat mai bhalai ka sawaal karey to Allah usey wo zarur dete hain."
📚: Sunan Abi Dawud 5042 | Sahih
2. Is Par Amal Karein Agar Aap Raat Ke Kisi Waqt Jaag Jayein To ⤵️
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks raat ko uthe aur kahe:
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ. الْحَمْدُ لِلَّهِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ، وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ، وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
[La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku, walahul hamdu, wa huwa 'ala kulli shai'in qadir. Alhamdulillahi wa subhanallahi wa la ilaha illal lahu, wallahu akbar, wa la hawla wala quwata illa billah || Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi. Wo akela hai Unka koi shareeq nahi. Badshahi Unhi ke liye hai aur tamam tareefein bhi Unhi ke liye hain aur Wo har cheez par qadir hain. Tamam tareefein Allah hi ke liye hain, Allah ki zaat paak hai, Allah Ta'ala ke siwa koi ibadat ke layak nahi aur Allah sab se bada hai, Allah ki madad ke begair naa kisi me gunaho se bachne ki taqat hai naa neki karne ki himmat]
Phir ye padhe: "اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي"
[Allahumma ighfir li || Aey Allah, meri maghfirat farmaiye]
Ya koi aur duaa kare to us ki duaa qubool hoti hai aur agar wuzu kar ke namaz padhe to us ki namaz bhi qubool hoti hai."
📚: Sahih Bukhari 1154
#Duaa
MEHMAN KI MEZBAN KE LIYE DUAA ✨
« اللَّهُمَّ بَارِكْ لَهُمْ فِي مَا رَزَقْتَهُمْ وَاغْفِرْ لَهُمْ وَارْحَمْهُمْ »
(Allahumma barik lahum fi ma razaqtahum waghfir-lahum war-hamhum)
Aey Allah, Aap ne jo unhein rizk diya hai us me un ke liye barkat daal dein aur un ke gunah baksh dein aur un par rehem farmayein.
📚: Sahih Muslim 2042 (5328)
#Duaa
Anas (رضى الله عنه) ne kaha ke: Meri walida ne kaha: "Ya Rasool Allah! Anas aap ka khadim hai, is ke liye duaa farma dein."
Aap (ﷺ) ne duaa ki ke:
« اللَّهُمَّ أَكْثِرْ مَالَهُ وَوَلَدَهُ، وَبَارِكْ لَهُ فِيمَا أَعْطَيْتَهُ »
(Allahumma aksir malahu wa waladahu wa barik lahu fima a’taitahu)
"Aey Allah, is ke maal aur aulaad ko zyada kar dein aur jo kuch Aap ne isey diya hai us me barkat ata farmayein."
📚: Sahih Bukhari 6344
#Tawakkul
Is baat me koi shaq naa karen ke Allah aap ko us ke badle behtar dete hain jo Aap ne Allah ki khatir choda tha.
"Agar Allah tumhare dilo me koi bhalai payega to jo kuch tum se le liya gaya hai Wo us se behtar tumhein de dega aur tumhein baksh dega aur Allah bakhshnay wala, bohot rehem karne wala hai."
📚: Qur'an (8:70)
#Zikr
Kuch gareeb log Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat me hazir hue aur kaha: "Maaldaar log buland darjo par pohoch gaye aur hamesha ki nematein hasil kar leen, halanke wo hamari hi tarah namaz padhte hain aur hamari hi tarah rozey rakhte hain lekin un ke paas maal aur daulat zyada hai jis ke wajah se unhe hum par foqiat hasil hai ke us ki wajah se wo hajj karte hain. Umrah karte hain. Jihad karte hain aur sadqe dete hain (aur hum gareebi ki wajah se in kaamo ko nahi kar paate)."
Is par Aap (ﷺ) ne farmaya: "Kya mai tumhein ek esi baat naa bataun jis par agar tum amal karoge to tum un logo ko paloge jo tum se aage nikal gaye hain, aur tumhare martaba tak phir koi nahi pohoch payega aur tum un logo se behtar hoge jin me tum rehte ho siwaye un logo ke jo yahi amal shuru kar dein.
Har (farz) namaz ke baad 33 martaba tasbih (Subhan Allah), Tahmid (Alhamdulillah), Takbir (Allahu Akbar) kaha karo."
📚: Sahih Bukhari 843 | Sahih Muslim 595
#SubhaKeAzkaar
#SubhaShaamKeAzkaar
Be-Shumar Ajar Hasil Karne Ka Asaan Zikr 🌺
Subha ke waqt kahein — 3 baar
« سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ خَلْقِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ رِضَا نَفْسِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ زِنَةَ عَرْشِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ مِدَادَ كَلِمَاتِهِ »
(Subhan-Allahi 'adada khalqihi, Subhan-Allahi rida nafsihi Subhan -Allahi zinata 'arshihi, Subhan- Allahi midada kalimatihi)
Mai Allah ki tasbeeh (Allah ki pakeezgi) bayan karta hoon Un ki makhlookat ki tadad ke barabar, Mai Allah ki tasbeeh bayan karta hoon Un ki razamandi ke barabar, Mai Allah ki tasbeeh bayan karta hoon Un ke arsh ke wazan ke barabar, Mai Allah ki tasbeeh bayan karta hoon Un ke kalimaat ki siyahi ke barabar.
📚: Sahih Muslim 2726 (6914)
#Duaa
« اللَّهُمَّ اجْعَلْ مِنْ أَهْلُ الْقُرْآن »
(Allahummaj'al min ahlul-Qur'an)
Aey Allah, mujhe Qur'an walo (ahl-e-quran) me se bana dein.
#Zikr
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Logo me se kuch log Allah wale hotey hain."
Sahabah ne arz kiya: "Ya Rasool Allah! Wo kon log hain?"
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qur'an wale (Ahl-e-Qur'an), wahi Allah wale aur Un ke nazdeeq khas log hain."
📚: Sunan Ibn Majah 215 | Hasan
"Qur'an Wale" yaani Qur'an padhne wale, yaad karne wale, ahadees Rasool (ﷺ) ke zariye se us ka feham (samajh) hasil karne wale, us par amal karne wale aur us ko dusro tak pohchane wale — ye sab Qur'an walo me shamil hain. Qur'an ke saath taluq rakhne wale Allah ke khaas bande aur Un ke qareeb hain, is liye qayamat aur jannat me bhi un par khusoosi inaamaat honge. Aur ye bohot bada sharf hai ke Allah ne unhein "Apna" qarar diya hai.
#Ilm
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Tum Allah se us ilm ka sawaal karo (wo ilm mango) jo faeda pohchaye, aur us ilm se panah mango jo faeda naa pohchaye."
📚: Sunan Ibn Majah 3843 | Hasan
#HifazatKiDuaa
Rasool Allah (ﷺ) farmaya karte the:
« اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْفَقْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الْقِلَّةِ وَالذِّلَّةِ وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أَظْلِمَ أَوْ أُظْلَمَ »
(Allahumma inni a'udhu bika minal-faqri wa a'udhu bika minal-qillati wadh-dhillati wa a'udhu bika an azlima aw uzlama)
"Aey Allah, mai mohtaji se Aap ki panah mangta hoon aur kami aur zillat se Aap ki panah mangta hoon aur is baat se Aap ki panah mangta hoon ke mai kisi par zulm karun ya koi mujh par zulm kare."
📚: Sunan an-Nasa’i 5462 | Sahih
#Duaa
Rasool Allah (ﷺ) ki duaaon me se:
« اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ فِعْلَ الْخَيْرَاتِ وَتَرْكَ الْمُنْكَرَاتِ وَحُبَّ الْمَسَاكِينِ وَأَنْ تَغْفِرَ لِي وَتَرْحَمَنِي
(Allahumma inni as'aluka fi'la-l khayrati wa tarka-l munkarati wa hubba-l masakini wa'an taghfira li wa tarhamani)
Aey Allah! Mai Aap se nek amaal ke karne aur burey kaamo se bachne aur gareebo se mohabbat karne ki taufeeq talab karta hoon aur chahta hoon ke Aap mujhe baksh dein aur mujh par rehem farmayen.
وَإِذَا أَرَدْتَ فِتْنَةَ قَوْمٍ فَتَوَفَّنِي غَيْرَ مَفْتُونٍ
(Wa idha a'radta fitnata qawmin fatawaffani gaira maftunin)
Aur jab Aap kisi qaum ko fitna me mubtila karna ka (azmane ka) irada karen to Aap mujhe fitna me mubtila hone se pehle (azmaye begair) hi maut de dein.
أَسْأَلُكَ حُبَّكَ وَحُبَّ مَنْ يُحِبُّكَ وَحُبَّ عَمَلٍ يُقَرِّبُ إِلَى حُبِّكَ »
(As'aluka hubbaka wa hubba man yuhibbuka wa hubba amalin yukarribu Ila hubbika)
Mai Aap se Aap ki mohabbat, Aap se mohabbat karne walo ki mohabbat aur Aap se ese amaal karne ki taufeeq mangta hoon jo mujhe Aap ki mohabbat ke kareeb kar de.
📚: Jami at-Tirmidhi 3235 | Hasan
#Milaad #Biddat
🚫 BIDDAT par amal karne se pehle ye HADEES zarur padh len aur har biddat aur shirk ke kaam se door rehne ki koshish kren.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Mere kuch saathi hawz (al kausar) par mere saamne laaye jaayenge aur mai unhe pehchan lunga lekin phir wo mere saamne se hata diye jaaenge. Mai us par kahunga ke ye to mere saathi hain.
Lekin mujh se kaha jaayega ke: "Aap ko maloom nahi hai ke inhone aap ke baad kya kya (deen me) nayi cheezin ijaad kar li theen."
📚: Sahih Bukhari 6582
#Milaad #Biddat
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Mujhe mere martabe se zyada na badhao jese Isa ibn Maryam (عليهم السلام) ko Isaiyo ne unke rutbe se zyada badha diya hai.
Mai to sirf Allah ka banda hoon, isliye yahi kaha karu (mere mutalliq) ke mai Allah ka banda aur Unka Rasool hoon."
📚: Sahih Bukhari 3445
#HifazatKiDuaa
CHAAR SE ALLAH KI PANAH MANGNA ✨
RasulAllah (ﷺ) ki duaaon me se ek duaa ye thi:
« اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ »
(Allahumma inni a'udhu bika min zawali ni'matika, wa tahawwuli 'afiyatika, wa fuja'ati niqmatika, wa jami'i sakhatika)
"Aey Allah, mai Aapki panah mangta hoon Aap ki nemat se dastbardar hone se, aur sehat ke zaya hone se, aur Aap ke gazab ki giraft me achanak aa jane se, aur har us cheez se jo Aap ki narazgi ka sabab ho."
📚: Sahih Muslim 2739 (6944)
💡✨
Hatim al-Assam (رحمة الله) ne kaha:
"Mai ne Allah ki makhlooq ko dekha or ye jaana ke har insaan ke paas koi na koi esi cheez hai jo usey bohot mehboob hai lekin wo insaan jab qabr me jayega to us ki wo mehboob cheez us se juda ho jayegi. Is liye mai ne apney nek amaal ko apni sab se mehboob cheez bana liya, is umeed ke saath ke jab me qabr me jaunga to ye mere saath hon."
📚: Mukhtasar Minhaj al-Qasideen, pg 12
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Mayyat ke saath teen cheezein chalti hain, do wapas aa jaati hain (dafan ke baad) aur ek us ke saath rehti hai. Us ke saath us ka rishtadaar, us ka maal aur us ka amal chalta hai; rishtadaar aur maal to wapas aa jaate hain, jab ke us ka amal us ke saath baaki reh jaata hai."
📚: Sahih Bukhari 6514
#RozKeAzkar #Zikr
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Zameen par jo koi bhi kahe:
« لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ »
(La ilaha illal lah, wa-Allahu akbar, wa-la hawla wa la quwwata illa billah)
Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, aur Allah sab se bada hai, aur Allah ke siwa (kisi kaam ke karne ki kisi me) naa koi takat hai aur naa quwwat
to us ke (chotey aur mamooli) gunah maaf kar diye jayenge, chahe wo samundar ke jhaag ke barabar hi kyun naa ho."
📚: Jami at-Tirmidhi 3460 | Hasan
PDF: drive.google.com/drive/folders/1-B8hlc49z8alTfPsDhOw7d-iVqFKsqHB
#AcchiAdat
Namaz Ke Baad Uthne Me Jaldi Naa Karen ☝🏼
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jab tak tum apne musalla par jahan tum ne namaz padhi thi, bethe raho aur riyah kharij naa karo to farishte tumhare liye duaa karte rehte hain. Kehte hain: 'Eey Allah! is ki maghfirat kijiye, aey Allah! is par rehem kijiye.'"
📚: Sahih Bukhari 445
#AcchiAdat
Namaz Ke Baad Uthne Me Jaldi Naa Karen ☝🏼
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jab tak tum apne musalla par jahan tum ne namaz padhi thi, bethe raho aur riyah kharij naa karo to farishte tum par barabar darood bhejte rehte hain. Kehte hain: 'Eey Allah! is ki maghfirat kijiye, aey Allah! is par rehem kijiye.'"
📚: Sahih Bukhari 445
#AcchiAdat
Shaykh Ibn Baaz (رحمة الله) ne farmaya:
"Salamati aur hifazat/tahaffuz hasil karne ka ek tareeqa ye hai ke har namaz ke baad aur sone se pehle Ayat al-Kursi (2:255) padhen."
📚: https://shorturl.at/OERd1
#AcchiAdat
Shaykh Ibn Baaz (رحمة الله) ne farmaya:
"Salamati aur hifazat/tahaffuz hasil karne ka ek tareeqa ye hai ke har namaz ke baad aur sone se pehle Ayat al-Kursi padhen."
📚: https://shorturl.at/OERd1
