📚 رَبِّ زِدنِي عِلماً 📚
前往频道在 Telegram
روزانہ قرآنی آیات، حدیث نبویﷺ اور اِسلامی معلُومات کا مُستَند اُردو چینل۔ For daily Quranic Ayat, Hadith e Nabawiﷺ & Islamic Information in Urdu Language. @itsfayez
显示更多1 063
订阅者
无数据24 小时
无数据7 天
+930 天
帖子存档
▪︎14-03-2023▪︎
Aye imaan waalo! Sabr aur namaaz se madad haasil karo, beshak Allah sabr karne waalon ke saath hai.
[Sura-e-Baqarah: 153]
join us @knowledge
▪︎13-03-2023▪︎
Shak wa shuba waali cheez ko chhod kar ghair shak wa shuba waali cheez ko ikhtiyaar karo, is liye ke sachchaayi mein itmenaan hai aur jhoot mein shak wa shuba hai.
[Tirmizi: 2518]
join us @knowledge
▪︎12-03-2023▪︎
Haakimon ke paas maalon ka muqadma is gharz se na le jaao ke logon ke maal ka koi hissa jaante boojhte hadap karne ka gunaah karo.
[Sura-e-Baqarah: 188]
join us @knowledge
▪︎11-03-2022▪︎
Jo shakhs qurbaani ki taaqat rakhta ho phir bhi qurbaani na kare, woh humaari eidgaah ke qareeb bhi na aaye.
[Ibne Maaja: 3123]
join us @knowledge
▪︎10-03-2023▪︎
Zameen par chalne phirne waala koi jaandaar aisa nahi hai, jis ki rozi (rizq) Allah ne apne zimme na le rakhi ho.
[Sura-e-Hood: 6]
join us @knowledge
