cookie

نحن نستخدم ملفات تعريف الارتباط لتحسين تجربة التصفح الخاصة بك. بالنقر على "قبول الكل"، أنت توافق على استخدام ملفات تعريف الارتباط.

avatar

Tazkiyatun Nafs

Let's Flee to Allah together to learn authentic and basic Ilm in the light of Qur'an and sunnah. ✔️Tawheed comes first. Be a part of khair for the Ummah!

إظهار المزيد
مشاركات الإعلانات
636
المشتركون
+124 ساعات
+17 أيام
+2030 أيام

جاري تحميل البيانات...

معدل نمو المشترك

جاري تحميل البيانات...

🥀Allah ke apne bandon se izhaar e Mahabbat ke Kamaal Tareeqe 👉Beshak Ek shakhs ka Allah ke yahan ek maqaam hota hai lekin wo us maqaam tak apne amal ke zariye nahi pohonch raha hota, to Allah use aazmaish mein daale rakhta hai jo us bande ko na pasand ho, yahan tak ke Allah (us ke sabr) ke zariye usey us maqaam tak pohncha deta hai 🖊|[As silsila tus sahiha : 2599]| 👉Duniya mein jin logon ko aazmaish ka saamna karna padha tha, roz e qayamat us ko milne wale ajr o sawab ko dekh kar ahle aafiyat tamanna karenge ke kaash dunya mein us ki khaalen kainchiyo se katri jaati 🖊|[Sunan Tirmizi : 2402]| 👉Momin par koi na koi aazmaish aayi rehti hai, taake us ke baad us ke sath bhalayi ka muamla kiya jaye 🖊|[Al Aadab - imam behqi rahimaullah : 294]| 👉Aazmaish ke khatm hone ka intezar karte rehna bhi sawab wala amal hai, kyunke ye intezar karna Allah ke sath husn e Zann hai 🖊|[Fazeelat ush shaykh muhammad bin saleh al uthaymeen rahimaullah || fatawa noor alad darb : 225]|
إظهار الكل...
👍 3 2
#Haraam SITARO KI TEHREER (Zodiac Signs) KO PADHNA AUR UN PAR YAKEEN KARNA 🚫 • Wo Jo Unhein Padhta Hai Lekin Un Par Yakeen Nahi Karta Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks kisi gayb ki khabrein sunane wale ke paas jaaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to chalees (40) raaton tak us shaks ki namaz qubool nahi hoti." 📚: Sahih Muslim 2230 (5821) • Wo Jo Unhein Padhta Hai Aur Un Par Yakeen Bhi Karta Hai Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "..Jo kisi Kahaan (gayb ki khabrein sunane wale) ke paas gaya aur us ki kahi hui baato ko sach maan liya to us ne Muhammad (ﷺ) par nazil ki jaane wali cheez ke saath kufr kiya." 📚: Sunan Ibn Majah 639 | Hasan
إظهار الكل...
👍 2
Muharram 1446 ka Mahina shuru hogaya hai Alhamdulillah ✨ Allah Ke Mahine MUHARRAM Me Roza Rakhne Ki Faziliyat 🌱 Rasool Allah (ﷺ) se kisi ne pucha ke: "Farz namaz ke baad kon si namaz afzal hai aur mah e ramzan ke baad kon se rozey afzal hain?" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Farz namaz ke baad sab se afzal namaz adhi raat ki namaz hai (tahajjud), aur ramzan ke mahine ke baad sab se afzal rozey Allah ke mahine Muharram ke rozey hain." 📚: Sahih Muslim 1163 (2756)
إظهار الكل...
#SunnateRasool NAMAZ KE LIYE MASJID TAK PAIDAL CHAL KAR JAANE KA SAWAAB ✨ Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jis ne apney ghar me wuzu kiya aur phir Allah ke ghar me se kisi ek ghar ki taraf chal kar gaya Allah ke farzo me se ek farz ada karne ke liye, us ke dono qadam (aham honge) kyunke ek gunah ko mita dega aur dusra us ka darja ek darja buland kar dega." 📚: Sahih Muslim 666 (1521) Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Raat ke andhero me masjidon ki taraf chal chal ke aane walo ko khushkhabri de do ke qayamat ke din (un ko) muqammal (kamil) noor diya jayega." 📚: Sunan Abi Dawud 561 | Sahih Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jis waqt banda apney ghar se masjid ki taraf nikalta hai to ek kadam par ek neki likhi jaati hai aur dusrey kadam par ek burai mita di jaati hai." 📚: Sunan an-Nasa'i 706 | Sahih Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks har subha aur shaam me (ba-jamaat namaz ke liye) baar baar masjid aata jaata hai, us ke liye Allah Ta’ala jannat me acchi mehman nawazi ke saath ba-waqar jagah tayyar karte hain, har subha aur shaam ke waqt jab wo (masjid me) aata jaata hai." 📚: Sahih Bukhari 662
إظهار الكل...
👍 1
#NamazKiFaziliyat Shaykh Saleh al-Fawzan (حفظه الله): "Log namaz nahi padhte aur kehte hain ke mazhab dil me hai. Agar wo waqiye dil me hota to wo namaz zarur padhte." 📚: Ithaf al-Tullab, p. 536.
إظهار الكل...
👍 1
*🔮 YAAD DAHANI* Kya tum janty nhi k duayain naseeb ka muqabla krny ki qudrat rakhti hain? Or vo duayain to naseeb sy bhi zyada taqatwar hoti hain jo bar bar dohrai jati hain, jinka tasalsul waqt k sath barhta chala jata hay. Isliye jab koi cheze tumhary naseeb ka hissa nhi hoti to Allah tumhy us cheze ko apna bannay k liye waqt deta hy ta k tum usy itna mango, itna mango k naseeb vo cheze tumhy deny py majbur ho jaye, is tarhan Allah tumhari duaon ko naseeb py fatah deta hy. Dua Allah ki raza ka hissa hy or agr tumhari duayain qabool na honi hoti'n to Allah duaon ki janib tumhara dil ku pherta? Tawakul rakho! Ku k tawakul krny walo k liye Allah na-mumkin zariyon sy esy na-mumkin moujzy lata hy jinhain dekh kr aqal dhang reh jati hay. Tumhari duayain ya to tumhari zindagi badal dain gi ya phr tumhy badal dain gi, magar rayega kabhi nhi jayain gi, Yehi tumhary Allah ka tumsy ye wada hay.
إظهار الكل...
👍 3😢 3
#AcchiAdat AFZAL KALIMAAT ✨ Rifa'a bin Rafi' Az-Zuraqi (رضى الله عنه) se riwayat hai: "Hum ek din Rasool Allah (ﷺ) ke peeche namaz padh rahe the. Jab Aap ne rukuh se sar utha kar "Sami Allahu liman hamida" kaha to Ek shaks ne peeche se kaha: « رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ » (Rabbana walakal hamd, hamdan kathiran taiyiban mubarakan fihi | Aey hamare Rabb! tamam tareefein aur shukr Aap ke liye hain, bohot saari pakeeza aur ba barkat tareefein.)" Jab Aap (ﷺ) namaz se farigh huye to farmaya: "Ye kalimaat kis ne kahe the?" Us shaks ne jawab diya: "Mai ne." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Mai ne tees se zyada farishto ko dekha ke wo in kalimaat ko likhne me ek dusre par sabqat le jaana (fatah paana) chahte the." 📚: Sahih Bukhari 799
إظهار الكل...
_*🔮 Y A A D D A H A N I*_ *IZZAT E NASF KI HIFAZAT KEEJIYE* Aayen Samjhte hain ke Izzat e Nafs kya hai !!!! IZAT E NAFS jis ko aatmi samman bhi kehtay hai aek aesi cheez hai jo insani wujood ko zinda rekhti hai. Baz dafa hum loug kya krtay hai k hum muhabatu ke chakar me, doosiru ko khush karney Kay chakar me apney aap unke pairu takay kuchal dalte hai aur ye bhool jatay hai k hamara bhi koyi wujood hai. Aur is sb ki waja se hum khud ko kho dtey hai. Jab ap apni izzat khud nai kray gay koyi aur bhi apki izzat nai karay ga. Is liye yaad rakhiye apki izzat e nafs apki muhabatu se uper aur apke khud ke dil se bhi uper honi chahiye. Kisi ki Zindagi mein rehne ke liye bheek nahi maange, jinhay rehna hai wo reh jaye gay aur jo Jana chahitay hai wo chalay jaye gay ap unhay nai rouk skte. Baat karen, apna daman saaf rakhen aur agr phr bhi nazar andaaz hon, tou khamoshi se ek taraf ho jaye, kuyn ki jinhay samjna hota hai wo aek bar me samj jatay hai wo bar bar apko majboor jai krtey kisi bhi cheez ke liye. Bus isi ko izzat e nafs kehte hain!! Khayaal rakhiye, khush rahiye. #MuneebaAmmatullaah
إظهار الكل...
*📌 Y A A D D A H A N I* Logo'n ne Saara Deen Taveez Gande me Samajh liya hai aur unka Khayal ye hai k Duniya ki Koi Garz Esi na ho Jiska ilaaj koi Taveez na ho, Chuna'che unko Har kaam ke Liye ek Taveez chahiye, Fala'n kaam nahi ho raha, uske Liye kya Wazifa padhu ? Fala'n kaam ke liye ek Taveez de de'n Lekin hamare Akaabir ne aitdaal ko malhooz rakha k Jis Had tak Huzoor ﷺ ne Amal kiya Us Had tak un per Amal kare'n, Ye nahi k Din Raat Aadmi yahi kaam karta rahe aur Deen aur Duniya ka Har kaam Taveez Gande ke Zariye kare, Ye baat galat hai, asal baat yahi hai ki taweez ke zariye say apka koyi kam nai ho skta, jab Allah chahay tab ho skta hai bas. Agar ye Amal Durust hota to Fir Sarkare Do Aalam ﷺ Mushrikeen per koi esi Jhaad Foo'nk karte k Wo Sab Huzoor ﷺ ke Qadmo me aa kar dher ho jate, Aap ﷺ ne is Jhaad Foo'nk per Kabhi bhi Amal nai kiya hai. Taveez Gande aur Jhaad Foo'nk karna na ibaadat hai aur na us per Sawab ulta ye sab apko shirk me mubtala kr deta hai, Yaad rakhiye ! Ruqiyah ke Zariye ilaaj jaa'iz hai magar ye ibaadat nahi, Ye jhaad Foo'nk aur ye Taveez koi ibaadat nahi balki shirik e kabeera aek bada samandar hai, is per koi Ajro Sawab murattab nahi hota, Lihaza apney ap ko is gunah se bachaye.
إظهار الكل...
💯 2
Photo unavailableShow in Telegram
*🔊 ALERT EVERYONE* Re-registration for the month of July has begun. Interested one and those who are genuinely serious about it can DM (+91 8082545608~Muneeba Ammatullaah) for proper registration and entry in the campaign. Share with your female family members and friends, maybe someone would be in need and your one share will change their whole life for good. Note that Registration is open for two days only, from June 29 to the Ist of July 2024, after this no more registration would be taken so hurry up, intake capacity is 100 only. *Strictly for females only* @⁨⁨THE HURDLE BREAKERS⁩⁩
إظهار الكل...
اختر خطة مختلفة

تسمح خطتك الحالية بتحليلات لما لا يزيد عن 5 قنوات. للحصول على المزيد، يُرجى اختيار خطة مختلفة.